Tuesday, 24 July 2018

Imran Khan Naam Hi Kafi Hai...

Imran Khan Niazi: Pakistan kay azeem tareen cricketer meim shamil tarekh kay azeem tareen all rounder mein say aik mashour samaji karkun aur mojoudah siasatdan ka pura naam Imran Ahmed Khan Niazi hai. App 25, November 1952 mein Lahore mein Ikramulla Khan Niazi kay ghar paida huye.
Duniya kay azeem cricketer Pakistan team kay sabiq captain Shaukat Khanum Memorial Hospital kay bani aur tehreek-e-Insaf kay sarbarah Pakistan cricket team kay liye 1971 say 1992 tak khaltay rahay. App nay ibtedai taleem Lahore mein Cathedral School Lahore aur Achison College Lahore say hasil ki. Iss kay baad alla taleem kay liye Britannia chale gaye wahan Royal Grammar School mein parha aur phir oxford university say BA honors kiya app nay 1974 mein oxford university cricket team kay captain bhi rahay.

App nay 25 April 1996 ko tehreek-e-Insaf qayam kar kay siasat maidan mein qadam rakha. Ibtedai tour per inhain kamiyabi na mil saki lakin haliya dino mein woh apni jado jehad aur usool parsati ki badolat Pakistani awam khusosan noujawano mein taezi say maqboliyat hassil kar rahey hain. 1997 kay intakhabat mein in ki jamat koi seat hassil na kar saki ta hum 2002 kay intakhabat mein inhein aik seat hasil hoi. 2008 kay intakhabat mein in ki jamat nay Pervaiz Mushrraf ki zere nigrani munaqad honey wale intekhabat mein hissa layne say asoli bunyado per inkar kardiya.

Imran khan nay kaha kay in ki zindagi aur Karachi mein tehrek-e-Insaf kay karkun ki zindagi khatra lahaq hai q kay Britannia hukumat nay Muttahida Qaumi Movement kay London mein muqeem quaid Altaf Hussain kay khalaf qadam nahi uthaya jis say ye log shair ho kar tashadut ki karwai kar saktey hain. Duniya bhar kay akhbarat nay Imran Khan ki Pervez Musharraf kay khilaf jad-o-jehad ko saraha 18 November ko Imran Khan ney Dera Ghazi khan jail mein bhok hartal shuro kiya 22 Nov ko inhein acahanak reha kardiya gaya iss kay baad say ab tak Imran Khan apney bayanat aur TV per diye gaye. Interview kay zariye awam ki nigha mein rahey hain ta hum mubasireen ka kehna hai kay in kay pass khatir khuwah vote bank aur street power moujud nahi aur ayinda intakhabat mein bhi in kay kamiyabi honey ka imkan kuch zada nahi hai.

Imran khan nay crickets mein qayadat jazbey aur azam ki naye mishalain qaim ki in ki hum gair aur dair pa maqboliyat iss waqt samne aiye jab cricket ki sahafat kay sub say mutabar aur sub say qadeem adare wiz Dan nay cricket ki tarekh kay sub say maqboul all round ka tayeen karney kay liye sarwe karaya aur Imran Khan ka naam sar-e- fehrist ho kar samne aya goya Ian Botham, Richard Hadlee, Kapil Dev aur Jack Kalex all rounder aaj bhi in ki maqboliyat ka muqabla nahi kar saktey sirf ye hi nahi in ki sehar ungaiz shaksiyat nay Pakistan ko cricket ka rukh hi badal diya aur in ki amad kay baad Pakistan mein fast bowler ki amad ka aisa silsila shuro huwa jo aaj tak tham ney mein nahi aya in ki azmat ka ateraf January 2009 mein ICC nay Hanif Muhammad aur Javed Miandad kay sath inhein apney pheley hall of fame mein shamil kar kay kiya dekhna ye hai kay Imran Khan siasat mein bhi aisi hi tarekh raqam kar patey hain ya nahi.
Imran Khan ko apny Pakistanio sey boht Umeed hai, aor jo jazba wo is nation k leye apny dil mey rakhty hai Allah is jazbey ki qadar kary ga aor In Shaa Allah Kal k election mey Imran Khan ki jeet ho ge. Meri mulaqat Imran sey sirf doo bar howi thi, ak jab Peshawar mey sports ki opening thi aor dusri tab jab 2018 mey Digital youth Summit tha. Imran khan ko live dekh kar he mery andar ak jazba roshan howa aor ak esa jazba jis ney muje hamesha roshan rehny ki rahh dekhai. Boht log boht kuch khety hai Imran k bary mey liken, Muje pey Allah ki mehrbani hai jo Imran Khan ko hamry mulk Pakistan mey peda keya aor yahn k logo k leye souchny ka Shaor deya. 
Ab In Shaa Allah is bar Imran Khan election b jety ga aor PM house mey apni jaga b banaye ga jis tarha us ney logo k dilo mey apni jaga banai hai. 
Ab ap ki bari hai utho nhi jago, aor Bat pey Muhar lagaye kal...


© Copyright by MominBibiSays 2018 HTML.am

7 comments: